Friday, July 22, 2011

* Ajab sa ab iraada kar raha hai *


Ajab sa ab iraada kar raha hai
likhe auraaq saada kar raha hai

ghazal mei'n gholta hai ras labo'n ke
abhi teekhii zyada kar raha hai

thee is ke haath mei'n sandal see lakrhi
naa jaane kyo'n burada kar raha hai

chupane se nahii chupta hai lahja
agar woh irada kar raha hai

nahi mabaed ka chakkar nahii hai
faqat azhaan taazah kar raha hai

No comments:

Post a Comment